Top Contant

Monday 11 February 2019

Domain Kya Hai Puri Jankari Hindi Me

Namaskar Dosto, Aapka Jankari Dekho Me Bahut Bahut swagat Hai.
 Aaj hum baat kar rahe hain ki Sub-Domain, Domain Ki To dosto chaliye hum aapko batate hai.


Are wah kya bat hai toh aapne aakhir kar domain ke bare me jankari prapt karne me lag gaye hain yani ki bahut hi jald aap apni website launch karne wale hain, so advance congratulations .

Main aapko domain ki kayi jaroori chije aapko batane ja raha hoon jo ki aapko jarur pasand aayegi jaise ki -

Domain name kya hai
Domain name ko kaha se register kiya jata hai
Domain ka use kaha kisliye hota hai

Domain ye ek aisa word hai jispar full internet based hai, hum kisi bhi jankari ya other data ko internet se ek domain ke madhyam se hi access kar pate hain .


Subdomain Kya Hai?




Jaise ki aap is blog ko dekh rahe hain jankaridekho.blogspot.com toh is website me multiple domains hain .

Blogspot.com main domain hai
Aur iske sath paisapro laga huwa hai ise subdomain kaha jayega .

Aur is blog ki hosting bilkul free hai aur jaha tak bat hai domain ki toh aap chahe kisi bhi web builder site par apna blog banaye uspar yadi aap sudomain use karte hain toh bilkul free me use kar sakte hain .

Jaise ki paisapro.blogspot.com isko main sirf kuh paise se paisapro.com ya example.com kuch bhi jo domain mujhe pasand aaye use ispar laga sakta hoon, yani ki kahi se bhi ek domain lena hai aur ispar set kar dena hai aur iska sirf name chage hoga aur baki sabhi chije jaisi ki taisi rahengi .

So finally aapko jaisa accha lage waisa kare kyunki ye toh aap par hi depend karta hai ki aap kitna invest kar sakte hain, yadi aap invest kar sakte hain toh 50,000 + Rs. Bhi kam pad jayenge aur yadi nahi kar sakte hain toh 0 Rs. Me bhi jaise taise ho sakta hai .


Domain name kya Hai ?


Domain ka seedha matlab name se hai kisi bhi website ke name ko hi domain name kaha jata hai .

Jaise ki google.com, facebook.com, bing.com wec ye sabhi domains hi hain aur in domains par bahut hi badi services run karti hain, arbo log in domains ko use karte hain .

Aap chahe toh aap bhi inke jaise hi apna domain le sakte hain aisi bahut company hain jo domain bechti hain aur buy karke aap website start kar sakte hain aur aapki jankari ke liye bata doon ki isse bahut hi jyada paise kamaye ja sakte hain .

Aap apni pasand ka koi bhi domain buy kar sakte hain jaise ki manlo aapko ye domain buy karna hai, "google" although aapko ye domain milega nahi kyunki ye domain already registered hai aur is time ye domain duniya ka no. 1 domain ban gaya hai .

But man lijiye aapko "google" domain buy karna hai toh aap ye decide kar sakte hain ki aapke google domain ke sath kaun sa extension laga ho jaise ki .com .in .org .net etc.

Domain ka ek bahut hi bilkul example aapke phone ke folders or aapke computer ke folders hain .


Domain hum kisi server se buy karte hain aur server ka seedha matlab hai koi computer ji han server ek tarah ka computer hai but un computers ki techniques kuch alag aur strong hoti hai jo server banaye gaye hote hain jinse log domain buy karte hain .

Jaise aap apne computer or phone ke storage me koi folder banate hain toh us list me us name ki sirf ek hi file ban pati hai same yahi process domain ki hai hum chahe jis server se domain buy kare but hame sirf wahi domain mil sakta hai jo domain already kisi ne register na kiya ho .

Aur server owners ki team ne apni apni websites launch ki huyi hai jinse aap apne liye domain buy kar sakte hain main aage aapko kuch popular domain provider sites ke bare me bataunga .


Jaise hamare hum sabke names aur names isiliye hote hain ki logo ki alag alag pahchan ho but hamare aapke names me kayi log common ho sakte hain yani ki bahut logo ke same name hote hain .

But jaha tak bat hai domain ki toh domain websites / blogs ke names ko kaha jata hai aur websites / blogs programming se banaye jate hain yani ki website bhi machine hi hai .

Aur domain ka aisa system banaya gaya hai ki poore world me ek name par sirf hi domain ho sakta hai phir chahe aap kisi bhi country se ho .



Jaise ki man lo facebook.com is domain ke malik mark zukerberg hain aur united state se hain ab poora world inke is domain ko access kar sakta hai .

Ab us domain ke under kya rakha jaye logo ko dikhaya jaye ya na dikhaya jaye ye sabhi bate domain owner par depend karti hain.

Aur ye rahi kuch top domain provider company jisse aap apni pasand ka domain buy kar sakte hain .

Godaddy.com
Hostgator.com
Register.com
Hypestat.com
Domains.google.com
Namecheap.com
Wordpress blog/website banane ke liye direct wordpress.com se bhi domain register kiya ja sakta hai.
Bluehost.com
Name.com

Ab finally aapko ye toh jarur pata chal gaya hai ki domain kya hai aur iska internet par kya prayog hai but kya sirf domain se hi website ban jati hai ?

Nahi ! Sirf domain se website / blog nahi banta hai kyunki domain sirf ek name hai jaise ki aapke memory card ke folder ka name .

Aur aapke memory card me kuch space / storage hota hai 4gb, 16gb, 35gb + .

Bilkul usi tarah se aapke domain ko bhi space ki jarurat hoti hai aur online storage space ko host kaha jata hai, host ka seedha matlab jaise ki aapke phone ka storage yani ki memory card .

Jab domain aur host kisi aisi website (wordpress.com) par set kiye jayenge jo ki website builder ho toh aapki website bankar ready ho jayegi .

Yani ki aapko domain buy karna hoga sath me hosting buy karni hogi aur aur wordpress par account banakar domain aur host ko apne wordpress account par set karna hoga aur phir us domain name par aapki website ready ho jayegi aur phir aap jo bhi data apne blog / website me save karenge us data ko aapke domain ke jariye log dekh payenge .

Toh aapko pata chal gaya hoga ki kisi bhi website ke liye sirf domain name nahi balki hosting bhi jaruri hai, aur yadi aap hosting nahi buy karna chahte hain sirf domain hi buy karna chahte hain toh bhi koi bura nahi hai aapko hosting free mil jayegi .

friends हमी उम्मीद है की आपको जानकारी मिल चुकी होगी । की  Domain क्या है  अगर आपका  सवाल या सुझाव है तो कमेंट करे । 

"ये आर्टिकल  मुझे बहूत  पसंद है? अभी इसे अपनें दोस्तों के साथ SHARE करता हू ।"

0 comments:

Post a Comment

About Me

author Sanjiv Rajbhar JankriDekho उन pro-bloggers और serious bloggers के लिए बनाया गया ब्लॉग है जो अपने ब्लॉग से पैसे कमाना चाहते हैं. यह Hindi bloggers की एक community है. JankriDekho 10 जून, 2018 को Make Money Online blog के रूप में बनाया गया था. हमारी यह blog उन bloggers के लिए हैं, जो ब्लॉग को successful business में बदलने के trade के तरीकों को सीखने के लिए तैयार रहते हैं
Learn More →